kya kisi baat ki saza hai mujhe
rasta phir bula raha hai mujhe
zinda rahne ki mujh ko aadat hai
roz marne ka tajraba hai mujhe
itna gum hun ke ab mera saya
mere andar bhi DhunDta hai mujhe
chand ko dekh kar yun lagta he
chand se koi dekhta hai mujhe
pahle to justuju thi manzil ki
ab koi kaam dusra he mujhe
ye meri nind kis maqam pe hai
KHwab mein KHwab dikh raha hai mujhe
aaine mein chhupa hua chehra
aisa lagta hai jaanta hai mujhe
Ghazal
Kya kisi baat ki saza hai mujhe
Ain Irfan