kya kijiye raqam sanad-e-ehtisham-e-zulf
hai daftar-e-jamal pe tughra-e-lam-e-zulf
KHidmat ho ghaza-e-gul-e-ruKH ki nasim ko
mauj-e-hawa chaman mein kare intizam-e-zulf
fasl-e-bahaar aai junun-KHez dekhiye
saudaiyon ko aane lage phir payam-e-zulf
muzi jo sar chaDha to bana mar-e-astin
sar pe na chahiye tha buton ke maqam-e-zulf
sauda-e-zulf chin-e-jabin ne miTa diya
taraj chiniyon ne kiya aa ke sham-e-zulf
kab husn-e-arzi pe laTakti hai subh-o-sham
islam par hai tan se har-dam salam-e-zulf
chhuT ke uTha rahe hain asiran-e-dam-e-zulf
aaram ab kahan dil-e-wahshi hai ram-e-zulf
baalon ko apne tum ruKH-e-raushan pe chhoD do
phenko miyan-e-chashma-e-KHurshid dam-e-zulf
taqrir kyun na uljhi hui bar zaban rahe
hai dars mein risala-e-ilm-e-kalam-e-zulf
diwane hum hain gardish-e-lail-o-nahaar ke
hai subh subh ru-e-pari-sham sham-e-zulf
paya siyah-baKHti-e-ushshaq ne bhi auj
firoza-e-falak pe kiya kunda nam-e-zulf
zulfen hawa se kab ruKH-e-ariz pe aa gain
hai sabza-e-bahaar ke munh mein lagam-e-zulf
aae siyah-dil hain raqibon ke us pe 'mehr'
poshish mein hai abas haram-e-ehtiram-e-zulf
Ghazal
Kya kijiye raqam sanad-e-ehtisham-e-zulf
Abdullla Khan Mehr Lakhnavi