kya KHub ye ana hai ki kashkol toD kar
ab tak khaDe hue hain wahin hath joD kar
mar hi na jae zabt-e-fughan se kahin ye shahr
sine se is ke aah nikalo jhinjhoD kar
sunnat hai koi hijrat-e-sani bhala batao
jata hai koi apne madine ko chhoD kar
is ke alawa koi hamara nahin yahan
jao koi KHuda ko bula lao dauD kar
'asim' ye dukh to jhelne paDte hain ishq mein
chadar na ho to sote nahin KHak oDh kar
Ghazal
Kya KHub ye ana hai ki kashkol toD kar
Liyaqat Ali Aasim