اردو हिंदी
Kya KHabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi | Shaahi Shayari
kya KHabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi

Ghazal

Kya KHabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi

Ashok Mizaj Badr

;

kya KHabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi
hum gale milte rahenge duriyan rah jaengi

ye nagar bhi kar-KHanon ka nagar ho jaega
in daraKHton ki jagah kuchh chimniyan rah jaengi

dhire dhire shor sannaTon mein gum ho jaega
aur saDkon par chamakti batiyan rah jaengi

raat jis dam apne kambal mein chhupa legi hamein
hath malti aur ThiThurti sardiyan rah jaengi

hum ne socha tha ki un ka hath hoga hath mein
kya KHabar thi hath mein bas chiTThiyan rah jaengi

ye tamasha aur thoDi der tak hoga abhi
phir yahan bas KHali KHali kursiyan rah jaengi

aag thoDi der ko bujh jaegi lekin mizaj
rakh ke niche dabi chingariyan rah jaengi