اردو हिंदी
Kya KHabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge | Shaahi Shayari
kya KHabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge

Ghazal

Kya KHabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge

Danish Aligarhi

;

kya KHabar thi munharif ahl-e-jahan ho jaenge
hote hote mehrban na-mehrban ho jaenge

muskura kar un ka milna aur bichhaDna ruTh kar
bas yahi do lafz ek din dastan ho jaenge

ishq sadiq hai to apne azm-e-manzil ki qasam
har qadam par sath lakhon karwan ho jaenge

ye maal-e-ishq hoga ye kise malum tha
dil ke naghme ek din aah-o-fughan ho jaenge

gar tarannum par hi 'danish' munhasir hai shairi
phir to duniya bhar ke shair naghma-KHwan ho jaenge