kya KHabar thi ki tere sath ye duniya hogi
meri jaanib meri taqdir hi tanha hogi
aarzu ki ye saza hai ki zamana hai KHilaf
un se milne ki KHuda jaane saza kya hogi
marmarin jism ka charcha lab-o-ruKHsar ki baat
meri koi to ghazal un ka sarapa hogi
ashk-e-gham pine mein taklif to hoti hai magar
sochta hun ki mohabbat teri ruswa hogi
nama-bar bhi hai taraf-dar ab un ka 'anjum'
mere haalat ki ab un ko KHabar kya hogi
Ghazal
Kya KHabar thi ki tere sath ye duniya hogi
Anjum Siddiqui