kya KHabar thi aatishin aab-o-hawa ho jaunga
KHak o KHun ka mustaqil main silsila ho jaunga
ibtida hun aap-apni intiha ho jaunga
barishon ka qurb pa kar phir hara ho jaunga
jhaDiyon ki ungliyan lapkengi gardan ki taraf
pahli shab ke aaKHiri pal ki dua ho jaunga
aasman ki samt uTThenge bagule aur main
rafta rafta ek maqam-e-gum-shuda ho jaunga
chilchilati dhup mein apna sarapa dekh kar
raat ki tanhaiyon ka waswasa ho jaunga
kuchh na kuchh khota chala jaunga ek ek moD par
aur phir main ek din tera kaha ho jaunga
khurdure aur khokhle bargad ka bazu tham kar
subh-e-simin ka maal-e-tai-shuda ho jaunga
jab koi jhukne lagega sham ki dahliz par
gumbad-e-mauhum ka main mubtana ho jaunga
phaDphaDate dekh kar taron mein kaftar ko 'nizam'
ungliyon ki uljhanon mein mubtala ho jaunga

Ghazal
Kya KHabar thi aatishin aab-o-hawa ho jaunga
Sheen Kaaf Nizam