kya KHabar kab se pyasa tha sahra
sare dariya ko pi gaya sahra
log pagDanDiyon mein khoe rahe
mujh ko rasta dikha gaya sahra
dhup ne kya kiya suluk us se
jaise dharti pe bojh tha sahra
baDhti aati thi mauj dariya ki
main ne ghar mein bula liya sahra
jaane kis shaKHs ka muqaddar hai
dhup mein tapta be-sada sahra
kho ke apna wajud andhere mein
raat kitna udas tha sahra
zehn ko wadiyan uThate phiren
aankh mein aa ke bas gaya sahra
mere qadmon ko chumne ke liye
raste raste se ja mila sahra
main samundar ko ghar mein le aaya
mere dar par paDa raha sahra
mera is mein bikharna tha 'abid'
phir mujhe DhunDhta phira sahra
Ghazal
Kya KHabar kab se pyasa tha sahra
Abid Almi