kya KHabar kab nind aae dida-e-be-KHwab mein
sham se hum jal rahe hain saya-e-mahtab mein
ab tumhaari yaad se paDte hain yun dil mein bhanwar
jaise kankar phenk de koi bhare talab mein
jis gali mein ghar tumhaara hai karo us ka KHayal
hum to hain badnam apne halqa-e-ahbab mein
ahl-e-dil jate the pahle sirf maqtal ki taraf
KHud-kushi bhi ab hai shamil ishq ke aadab mein
yun kisi ka pyar aaghosh-e-hawas mein ja chhupa
koi lasha jis tarah lipTa hua kam-KHab mein
rahmat-e-yazdan se mangi hum ne do chhinTon ki bhik
wo hua jal-thal ki basti bah gai sailab mein
gardish-e-dauran ki zad mein yun hai apni zindagi
jaise chakraati ho kashti halqa-e-girdab mein
wadi-e-sarban mein thin jo mehrban mujh par 'qatil'
wo bahaaren DhunDhti hain ab mujhe punjab mein
Ghazal
Kya KHabar kab nind aae dida-e-be-KHwab mein
Qateel Shifai