kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho
ye samundar kahin sach-much mein samundar hi na ho
jis ki ummid pe sar phoD rahi hai duniya
kahin is aahani diwar mein wo dar hi na ho
jaan kar phul jise dil se lagae hue hain
ghaur se dekh len chhu kar use patthar hi na ho
dar-o-diwar se ye kaise nazar aate hain
jis ko virana samajh baiThe hain wo ghar hi na ho
is qadar hum ko Darana nahin achchha 'athar'
kya pata hum ko kisi chiz ka phir Dar hi na ho
Ghazal
Kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho
Mirza Athar Zia