kya KHabar hijr ki shab ki bhi sahar hoti hai
kis tarah dekhiye ye raat basar hoti hai
tere diwanon ki mahfil mein hai pahchan yahi
reg-e-sahra se siwa KHak-basar hoti hai
kaam bigDe hue ban jate hain aksar mere
jab kabhi teri inayat ki nazar hoti hai
kaTta hun shab-e-furqat isi arman ke sath
Dub jate hain sitare to sahar hoti hai
zulf-o-zulf jo tul-e-shab-e-hijran ban jae
chashm wo chashm jo paikan-e-jigar hoti hai
chandni mand paDe aisi sabahat un ki
shakl dekhe to koi rashk-e-qamar hoti hai
rasm-e-ulfat mein yahi hota hai aksar ai 'nur'
Dub jate hain safine to KHabar hoti hai
Ghazal
Kya KHabar hijr ki shab ki bhi sahar hoti hai
Noor Mohammad Noor