kya KHak kahun matlab-e-dildar ke aage
so aur sunaega wo aghyar ke aage
bola tha jo aaghaz-e-mohabbat mein baDa bol
aaya wahi aaKHir dil-e-bimar ke aage
roka hi kiya zabt-e-mohabbat sar-e-mahfil
sar jhuk hi gaya us but-e-ayyar ke aage
paida nahin duniya mein dawa-e-maraz-e-ishq
kya log na hote the is aazar ke aage
fariyaadi-e-be-dad-e-jafa jaan ke mujh ko
mahshar mein wo chalte hue lalkar ke aage
marta hai kasi aur pe ab ghair suna hai
bolunga kabhi jhuT na sarkar ke aage
aa jae 'nasim' us ko tarahhum to ajab kya
chal le to chalen tujh ko tere yar ke aage
Ghazal
Kya KHak kahun matlab-e-dildar ke aage
Naseem Bharat Puri