kya karun zarf-e-shanasai ko
main taras jata hun tanhai ko
KHamushi zor-e-bayan hoti hai
rasta dijiye goyai ko
tere jalwon ki farawani hai
aur kya chahiye binai ko
un ki har baat bahut miThi hai
munh lagate nahin sachchai ko
ai samundar main qatil-e-gham hun
jaanta hun teri gahrai ko
baiTha rahta hun akela yunhi
yaad kar ke teri yaktai ko
khinch le jate hain kuchh diwane
apni jaanib tere saudai ko
uf tamasha-gah-e-duniya 'azim'
kitni fursat hai tamashai ko
Ghazal
Kya karun zarf-e-shanasai ko
Ainuddin Azim