kya karun ranj gawara na KHushi ras mujhe
jine degi na meri shiddat-e-ehsas mujhe
is tarah bhi teri duri mein kaTe hain kuchh din
hans paDa hun to hua jurm ka ehsas mujhe
hum ne ek dusre ko pursa-e-furqat na diya
meri KHatir thi tujhe aur tera pas mujhe
ek Thahra hua dariya hai meri aankhon mein
kin sarabon mein Duboti hai teri pyas mujhe
jaise pahlu-e-tarab mein koi nashtar rakh de
aaj tak yaad hai teri nigah-e-yas mujhe
reza reza hua jata hai mera sang-e-wajud
yun sada de na pas-e-parda-e-anfas mujhe
shaKH se barg-e-chakida ka taqaza jaise
kuchh is tarah abhi tak hai teri aas mujhe
ruh ke dasht mein ek ho ka saman hai ai 'shaz'
de gaya kaun bhare shahr mein ban-bas mujhe
Ghazal
Kya karun ranj gawara na KHushi ras mujhe
Shaz Tamkanat