اردو हिंदी
Kya karun kuchh bhi samajh aata nahin | Shaahi Shayari
kya karun kuchh bhi samajh aata nahin

Ghazal

Kya karun kuchh bhi samajh aata nahin

Mushtaq Singh

;

kya karun kuchh bhi samajh aata nahin
wo KHayalon se mere jata nahin

kya KHabar chehra kahan wo kho gaya
KHwab mein bhi jo nazar aata nahin

raat jugnu chand-taron ka hujum
dil pareshan chain kyun pata nahin

koi suraj apne daman mein liye
KHwab-e-farda ka nishan aata nahin

barf zehnon mein jami hai is qadar
hadson ka Dar bhi garmata nahin

is qadar dhundla gaya hai aaina
koi bhi chehra nazar aata nahin

kis liye un ke tasawwur ka tilism
ab dil-e-'mushtaq' bahlata nahin