kya karta main ham-asron ne tanha mujh par chhoD diya
sab ne bosa de kar sach ka bhaari patthar chhoD diya
Dhila paDta tha suli ka phanda us ki gardan par
mere qatil ko munsif ne fidya le kar chhoD diya
dariya ke ruKH bahne wali machhli murda machhli hai
us kashti ki KHair nahin hai jis ne langar chhoD diya
shoalon ki is hamdardi par dil mein lawa pakta hai
jab sari basti phunki thi kyun mera ghar chhoD diya
suraj ne bhi soch samajh kar jal bichhae kirnon ke
shabnam shabnam Daka Dala aur samundar chhoD diya
sara ghar sota hai do ghanTe mein aaega aKHbar
aaj 'muzaffar' panch baje hi kaise bistar chhoD diya

Ghazal
Kya karta main ham-asron ne tanha mujh par chhoD diya
Muzaffar Hanfi