kya karen kyun-kar rahen duniya mein yaro hum KHushi
hum ko rahne hi nahin deta hai hargiz gham KHushi
hum to apne dard aur gham mein nipaT mahzuz hain
hum ko kya is baat se rahta hai gar aalam KHushi
ai azizo is KHushi ko kui KHushi nahin pahunchti
aashiq aur mashuq jab hote hain mil baham KHushi
ai falak jis jis tarah ka gham tu chahe mujh ko de
main kabhi nalan na hun hargiz rahun har dam KHushi
yar hai mai hai chaman hai kyun na hum KHush-waqt hon
is tarah ki hogi ai 'taban' kisi ko kam KHushi

Ghazal
Kya karen kyun-kar rahen duniya mein yaro hum KHushi
Taban Abdul Hai