kya karen ja ke gulistan mein hum
hain ba-kunj-e-qafas fughan mein hum
jaante aap se juda tujh ko
karte gar farq jism-o-jaan mein hum
hain tajalli-e-zat ke teri
ek parda sa darmiyan mein hum
gul ka ye rang hai to ab ek din
aag rakh denge aashiyan mein hum
wan taghaful ne apna kaam kiya
yan rahe mehr ke guman mein hum
aasman ko nishana karte hain
tir rakhte hain jab kaman mein hum
mar ke nikle qafas se KHub hua
tang aae the is makan mein hum
gar yahi aah hai to dekhoge
raKHne kar denge aasman mein hum
shaKH-e-gul ke gale se lag lag kar
rote hain mausam-e-KHizan mein hum
bagh tak jate han agar pate
taqat us jism-e-na-tawan mein hum
'mushafi' ishq kar ke aaKHir-kar
KHub ruswa hue jahan mein hum
Ghazal
Kya karen ja ke gulistan mein hum
Mushafi Ghulam Hamdani