kya karen gulshan pe joban zer-e-dam aaya to kya
kya tawaqqo inqalab-e-nau nizam aaya to kya
ab ye tasir-e-mohabbat par qasida kya zarur
jazba-e-be-tabi-e-dil tha jo kaam aaya to kya
aankh se dil ki taraf dauDe wo mai pite hain hum
hum wo mai-kash hain ki saqi le ke jam aaya to kya
zoaf apna toDne deta hai zanjiren kahin
hum mein dam kya hai jo waqt-e-intiqam aaya to kya
main samajhta hun use aaghaz-e-mustaqbil-faza
aap kahte hain koi baala-e-baam aaya to kya
ab wo izhaar-e-haqiqat ke liye Darte nahin
ab wo kahte hain KHat us ka mere nam aaya to kya
hai to na-ehsan-shanasi 'shad' lekin kya karun
kaam ban sakta tha yun bhi koi kaam aaya to kya
Ghazal
Kya karen gulshan pe joban zer-e-dam aaya to kya
Shaad Aarfi

