اردو हिंदी
Kya kahun tum se main ki kya hai ishq | Shaahi Shayari
kya kahun tum se main ki kya hai ishq

Ghazal

Kya kahun tum se main ki kya hai ishq

Mir Taqi Mir

;

kya kahun tum se main ki kya hai ishq
jaan ka rog hai bala hai ishq

what can I say of love to thee
soul's ailment and calamity

ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq

its only Love where'er you see
Love fills this world entirely

ishq hai tarz o taur ishq ke tain
kahin banda kahin KHuda hai ishq

love is the mode and style of love
it's man below and God above

ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq

both lover and beloved be
love's self-involved entirely

gar parastish KHuda ki sabit ki
kisu surat mein ho bhala hai ishq

if God's worship's true you say
then love is good in every way

dilkash aisa kahan hai dushman-e-jaan
muddai hai pe muddaa hai ishq

so charming beautiful is she?
that love I seek, tho foe she be

hai hamare bhi taur ka aashiq
jis kisi ko kahin hua hai ishq

is there a paramour like me
'mongst lovers whosoever be

koi KHwahan nahin mohabbat ka
tu kahe jins-e-na-rawa hai ishq

Love an improper thing you deem
for love does no one ever dream?

'mir'-ji zard hote jate ho
kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq

miirji, colour's drained from you
by love, have you been smitten too?