اردو हिंदी
Kya kahun tujhse meri jaan main shab ka ahwal | Shaahi Shayari
kya kahun tujhse meri jaan main shab ka ahwal

Ghazal

Kya kahun tujhse meri jaan main shab ka ahwal

Hasrat Azimabadi

;

kya kahun tujh se meri jaan main shab ka ahwal
tujh pe raushan hai dil-e-wasl-talab ka ahwal

hun main ek aashiq-e-be-bak o KHarabaati o rind
mujh se mat puchh mere ilm-o-adab ka ahwal

dil ko KHali karun ro ro ke magar main be-kas
kaun sunta hai mere ranj-o-tab ka ahwal

mahram-e-raaz nahin milta koi dard hai ye
kya tabibon se kahun ishq ke tab ka ahwal

lutf hai sab se sazawar-e-ghazab ek hun main
KHub dekha jo tere lutf o ghazab ka ahwal

ai miyan aaj to do baat meri bhi sun le
kaha chahun hun main tujh se bhala kab ka ahwal

zor hai jaise ki nisbat namak o rish ke bich
main hi samjhun teri kaifiyyat-e-lab ka ahwal

nahin dam marne ki mujh ko tere aage majal
hae sunta hai tu kis tarah se sab ka ahwal

kya koi KHush ho mere sher ko sun ke 'hasrat'
dard-e-dil hai ye nahin aish-o-tarab ka ahwal