kya kahun kaise iztirar mein hun
main dhuan ho ke bhi hisar mein hun
ab mujhe bolna nahin paDta
ab main har shaKHs ki pukar mein hun
jis ke aage hai aaina diwar
main bhi kirnon ki us qatar mein hun
aahaTon ka asar nahin mujh par
jaane main kis ke intizar mein hun
parda-poshi teri mujhi se hai
tere aanchal ke tar tar mein hun
tang lagti hai ab wo aankh mujhe
dafn jaise kisi mazar mein hun
mujhe mein ek zalzala sa hai 'shahid'
main kai din se intishaar mein hun
Ghazal
Kya kahun kaise iztirar mein hun
Shahid Zaki