kya kahun jazbaat ka tufan kitna tez hai
dil ba-hadd-e-be-KHudi ehsas se labrez hai
ishq ki duniya mein har taklif rahat-KHez hai
iztirab-e-dil bhi ek had tak sukun-amez hai
didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskuraata hun magar dil dard se labrez hai
dil nigah-e-naz ke uThne se pahle uTh gaya
mere ehsasat ki raftar kitni tez hai
aankh mein aansu jigar mein dard dil mein iztirab
aah zabt-e-ah bhi kitna talatum-KHez hai
ishq ki sada-dili hai har taraf chhai hui
bargah-e-husn mein har aarzu nau-KHez hai
Ghazal
Kya kahun jazbaat ka tufan kitna tez hai
Akbar Haidri