kya kahun ham-nashin ye mera bhag
ek jaan aur saikDon hain khaDag
phir kabhi mai se tauba kar lunga
ab to botal ka khul gaya hai kag
dida-o-dil ki nibh nahin sakti
is mein pani hai aur us mein aag
kar ke wo zikr jaur Dhaenge
tar bola ki hum ne bujha rag
ab KHizan mein kahan wo rang-e-chaman
jald-tar luT gaya dulhan ka suhag
muflisi mein hai dil amiron ka
hum langoTi mein khelte hain phag
dil hamara buton ko bhul gaya
ab na kashi nazar mein hai na prag
chor se kah rahe hain chori kar
aur wo kah rahe hain shah se jag
shoala-ru main ne kyun kaha un ko
aur bhi ho gae wo sun kar aag
bazm-e-aish-o-nashat ho gai KHatm
ab kahan ragni kahan wo rag
kyun sambhalta nahin mizaj apna
hai dawa-o-maraz mein shayad lag
sab tere dost sab mere dushman
ek mera baKHt ek tera bhag
koi lahze ko bhi nahin rukta
tausan-e-umr ki hai Dhili bag
qaul de kar tera mukar jaana
mujh se itna lagaw itni lag
hai jidhar meri manzil-e-maqsud
main udhar ja raha hun bhaga bhag
main ne dekha ye bazm-e-alam mein
apni Dafli hai aur apna rag
mausam-e-gul abhi nahin aaya
chal diye ghar mein hum laga kar aag
roz malte hain munh par apne bhabhut
ishq mein hum ne le liya bairag
dil laga kar mujhe hua malum
ishq mein hain baDe baDe se khaDag
in ko tufan-e-KHalq se kya Dar
hazrat-e-'nuh' hain purane ghag
Ghazal
Kya kahun ham-nashin ye mera bhag
Nooh Narvi