kya kahun dil mail-e-zulf-e-dota kyunkar hua
ye bhala changa giraftar-e-bala kyunkar hua
jin ko mehrab-e-ibaadat ho KHam-e-abru-e-yar
un ka kabe mein kaho sajda ada kyunkar hua
dida-e-hairan hamara tha tumhaare zer-e-pa
hum ko hairat hai ki paida naqsh-e-pa kyunkar hua
nama-bar KHat de ke us nau-KHat ko tu ne kya kaha
kya KHata tujh se hui aur wo KHafa kyunkar hua
KHaksari kya ajab khowe agar dil ka ghubar
KHak se dekho ki aaina safa kyunkar hua
jin ko yaktai ka dawa tha wo misl-e-aina
un ko hairat hai ki paida dusra kyunkar hua
tere danton ke tasawwur se na tha gar aabdar
jo baha aansu wo durr-e-be-baha kyunkar hua
jo na hona tha hua hum par tumhaare ishq mein
tum ne itna bhi na puchha kya hua kyunkar hua
wo to hai na-ashna mashhur aalam mein 'zafar'
par KHuda jaane wo tujh se aashna kyunkar hua
Ghazal
Kya kahun dil mail-e-zulf-e-dota kyunkar hua
Bahadur Shah Zafar