kya kahiye ru-e-husn pe aalam naqab ka
munh par liya hai mahr ne daman sahab ka
taswir main ne mangi thi shoKHi to dekhiye
ek phul us ne bhej diya hai gulab ka
ab kya sunaen TuTe hue dil ki dastan
aahang be-maza hai shikasta raubab ka
itne fareb khae hain dil ne ki ab mujhe
hota hai ju-e-ab pe dhoka sarab ka
tum chandni ho phul ho naghma ho sher ho
allah-re husn-e-zauq mere intiKHab ka
allah bolte nahin to muskura hi do
main kab se muntazir hun tumhaare jawab ka
sab waqiat hain magar allah-re inqalab
aaj un pe hai guman kasi rangin KHwab ka
Ghazal
Kya kahiye ru-e-husn pe aalam naqab ka
Andaleeb Shadani