kya kahiye kya rakkhen hain hum tujh se yar KHwahish
yak jaan o sad tamanna yak dil hazar KHwahish
le hath mein qafas Tuk sayyaad chal chaman tak
muddat se hai hamein bhi sair-e-bahaar KHwahish
ne kuchh gunah hai dil ka ne jurm-e-chashm is mein
rakhti hai hum ko itna be-iKHtiyar KHwahish
haalanki umr sari mayus guzri tis par
kya kya rakhen hain us ke ummid-war KHwahish
ghairat se dosti ki kis kis se ho je dushman
rakhta hai yari hi ki sara dayar KHwahish
hum mehr o raz kyun kar KHali hon aarzu se
shewa yahi tamanna fan o shiar KHwahish
uThti hai mauj har yak aaghosh hi ki surat
dariya ko hai ye kis ka bos o kanar KHwahish
sad rang jalwa-gar hai har jada ghairat gul
aashiq ki ek pawe kyun kar qarar KHwahish
yak bar bar na aae us se ummid dil ki
izhaar karte kab tak yun bar bar KHwahish
karte hain sab tamanna par 'mir' ji na itni
rakkhegi mar tum ko payan-e-kar KHwahish
Ghazal
Kya kahiye kya rakkhen hain hum tujhse yar KHwahish
Mir Taqi Mir