kya kahiye ki ab us ki sada tak nahin aati
unchi hon fasilen to hawa tak nahin aati
shayad hi koi aa sake is moD se aage
is moD se aage to qaza tak nahin aati
wo gul na rahe nikhat-e-gul KHak milegi
ye soch ke gulshan mein saba tak nahin aati
is shor-e-talatum mein koi kis ko pukare
kanon mein yahan apni sada tak nahin aati
KHuddar hun kyun aaun dar-e-ahl-e-karam par
kheti kabhi KHud chal ke ghaTa tak nahin aati
us dasht mein qadmon ke nishan DhunDh rahe ho
peDon se jahan chhan ke ziya tak nahin aati
ya jate hue mujh se lipaT jati thin shaKHen
ya mere bulane se saba tak nahin aati
kya KHushk hua raushniyon ka wo samundar
ab koi kiran aabla-pa tak nahin aati
chhup chhup ke sada jhankti hain KHalwat-e-gul mein
mahtab ki kirnon ko haya tak nahin aati
ye kaun batae adam-abaad hai kaisa
TuTi hui qabron se sada tak nahin aati
behtar hai palaT jao siyah-KHana-e-gham se
is sard gupha mein to hawa tak nahin aati
Ghazal
Kya kahiye ki ab uski sada tak nahin aati
Shakeb Jalali