kya kahiye dastan-e-tamanna badal gai
un ki badalte hi duniya badal gai
ye daur-e-inqilab hai KHud-noshiyon ka daur
har mai-kade mein gardish-e-mina badal gai
har phul har kali pe barasta hai ab lahu
rangini-e-bahaar-e-chaman kya badal gai
nikhri hui bahaar mein chhaale hain KHun-chakan
apne qadam se qismat-e-sahra badal gai
paiham Tapak paDe jo ba-hasrat huzur-e-dost
in aansuon se sharah-e-tamanna badal gai
aazadi-e-junun ka yahi kya maal tha
zindan se dil-farebi-e-sahra badal gai
wo KHwab-e-zindagi tha jo hum dekhte rahe
ai 'dil' khuli jab aankh to duniya badal gai
Ghazal
Kya kahiye dastan-e-tamanna badal gai
Dil Shahjahanpuri