kya kahin milta hai kya KHwabon mein
dil ghira rahta hai mahtabon mein
har tamanna-e-sukun-e-sahil
uljhi uljhi rahi sailabon mein
dil-e-insan ki syahi tauba
zulmaten bas gain mahtabon mein
aap ke faiz se tanwiren hain
kaba-e-ishq ki mehrabon mein
apna har KHwab tha ek mauj-e-surur
yun hui umr basar KHwabon mein
husn-e-qismat se hamesha 'fitrat'
baKHt bedar raha KHwabon mein
Ghazal
Kya kahin milta hai kya KHwabon mein
Abdul Aziz Fitrat