اردو हिंदी
Kya kahen zindagi ka kya kije | Shaahi Shayari
kya kahen zindagi ka kya kije

Ghazal

Kya kahen zindagi ka kya kije

Khalid Mahmood Zaki

;

kya kahen zindagi ka kya kije
ek lab-e-dam KHushi ka kya kije

jaan diwar hi se bachti hai
warna shoridgi ka kya kije

dur kya pas tere rah kar bhi
kis se kahiye kami ka kya kije

hosh aaKHir ko aa hi jaana tha
lekin ab be-KHudi ka kya kije

kis qadar KHud ko dijiye dhoka
is qadar be-hisi ka kya kije