اردو हिंदी
Kya kahen wadon pe yaqin hum kyun late jate hain | Shaahi Shayari
kya kahen wadon pe yaqin hum kyun late jate hain

Ghazal

Kya kahen wadon pe yaqin hum kyun late jate hain

Mela Ram Wafa

;

kya kahen wadon pe yaqin hum kyun late jate hain
dhoka khana paDta hai dhoka khate jate hain

taqat-e-zabt-e-gham dil se ruKHsat hoti jati hai
arman nale ban ban kar lab par aate jate hain

raaten aish-o-ishrat ki din dukh dard musibat ke
aati aati aati hain jate jate jate hain

aandhiyon aur bagulon se kam nahin tere diwane
KHak uDate aate hain KHak uDate jate hain

aaj sahar se ghair bahut haal tere bimar ka hai
afsurda afsurda hai log jo aate jate hain

mai-KHana bhi paDta hai shaiKH ko rah-e-masjid mein
mai-KHana bhi aap aksar aate jate jate hain

ghair to hain phir ghair 'wafa' ghairon ka shikwa hi kiya
bad-hali mein apne bhi aankh churaate jate hain