اردو हिंदी
Kya kahen puchh mat kahin hain hum | Shaahi Shayari
kya kahen puchh mat kahin hain hum

Ghazal

Kya kahen puchh mat kahin hain hum

Meer Hasan

;

kya kahen puchh mat kahin hain hum
tu jahan hai gharaz wahin hain hum

kya kahen apna hum nasheb-o-faraaz
aasman gah gah zamin hain hum

wahm mein apne the bahut kuchh lek
KHub dekha to kuchh nahin hain hum

hum ko nakara jaan mat le le
tere hi nam ke nagin hain hum

main jo puchha kahan ho tum to kaha
tujh ko kya kaam hai kahin hain hum

apne uqde kisi tarah na khule
kis dil-azar ki jabin hain hum

hum na tir-e-shahab hain na sumum
nala-o-ah-e-atishin hain hum

bud-o-nabud mein gharaz apne
jis tarah se ki ham-nashin hain hum

kya kahen puchh mat ba-qaul 'ziya'
ek dam hain so wapsin hain hum