اردو हिंदी
Kya kahen kyunkar hua tufan mein paida qafas | Shaahi Shayari
kya kahen kyunkar hua tufan mein paida qafas

Ghazal

Kya kahen kyunkar hua tufan mein paida qafas

Heera Lal Falak Dehlvi

;

kya kahen kyunkar hua tufan mein paida qafas
mauj jab bal kha ke uTThi ban gaya dariya qafas

zindagi gham ka badal hai aarzuen yas ka
aasman sayyaad hum qaidi hain aur duniya qafas

dil ke haq mein sina zindan aarzu ke haq mein dil
saikDon dekhe hain lekin ye naya dekha qafas

din asiri ke ba-har-surat guzare jaenge
ek qaidi ke liye hai kya bura achchha qafas

koi bhi diwar sadd-e-rah ho sakti nahin
tol baiThe par to phir sayyaad kya kaisa qafas

apna ghar phir apna ghar hai apne ghar ki baat kya
ghair ke gulshan se sau darja bhala apna qafas

ai 'falak' aai yahan bhi mujh ko yaad-e-ashiyan
barq tu gardun pe chamki jagmaga uTTha qafas