اردو हिंदी
Kya kahen kya husn ka aalam raha | Shaahi Shayari
kya kahen kya husn ka aalam raha

Ghazal

Kya kahen kya husn ka aalam raha

Baqa Baluch

;

kya kahen kya husn ka aalam raha
wo rahe aur aaina maddham raha

zindagi se zindagi ruThi rahi
aadmi se aadmi barham raha

rah gai hain ab wahan parchhaiyan
ek zamane mein jahan aadam raha

pas rah kar bhi rahe hum dur dur
is tarah us ka mera sangam raha

tu mere afkar mein har pal rahi
main tere ehsas mein har dam raha

ji rahe the hum to duniya thi KHafa
mar gae to der tak matam raha