kya kahen hum the ki ya dida-e-tar baiTh gae
qulzum-e-ashk mein jun laKHt-e-jigar baiTh gae
na-tawan hum yun teri bazm se nikle kyunkar
kise malum hai hum aa ke kidhar baiTh gae
aap ko KHun ke aansu hi rulana hoga
haal-e-dil kahne ko hum apna agar baiTh gae
kis ko ek dam ka bharosa hai ki manind-e-habab
bahr-e-hasti mein idhar aae udhar baiTh gae
dur samjha hai raqibon ko yahan se 'arif'
yar ke pas jo be-KHauf-o-KHatar baiTh gae
Ghazal
Kya kahen hum the ki ya dida-e-tar baiTh gae
Zain-ul-Abideen Khan Arif