kya kahen aatish-e-hijran se gale jate hain
chhatiyan sulgen hain aisi ki jale jate hain
gauhar-e-gosh kisu ka nahin ji se jata
aansu moti se mere munh pe Dhale jate hain
yahi masdud hai kuchh rah-e-wafa warna baham
sab kahin nama o paigham chale jate hain
bar-e-hirman-o-gul-o-dagh nahin apne sath
shajar-e-bagh-e-wafa phule phale jate hain
hairat-e-ishq mein taswir se rafta hi rahe
aise jate hain jo hum bhi to bhale jate hain
hijr ki koft jo khinche hain unhin se puchho
dil diye jate hain ji apne male jate hain
yaad-e-qad mein tere aankhon se bahen hain juen
gar kisu bagh mein hum sarw tale jate hain
dekhen pesh aawe hai kya ishq mein ab to jun sail
hum bhi is rah mein sar gaDe chale jate hain
pur-ghubari-e-jahan se nahin sudh 'mir' hamein
gard itni hai ki miTTi mein rule jate hain
Ghazal
Kya kahen aatish-e-hijran se gale jate hain
Mir Taqi Mir