kya kaha phir to kaho dil ki KHabar kuchh bhi nahin
phir ye kya hai KHam-e-gesu mein agar kuchh bhi nahin
aankh paDti hai kahin panw kahin paDta hai
sab ki hai tum ko KHabar apni KHabar kuchh bhi nahin
shama hai gul bhi hai bulbul bhi hai parwana bhi
raat ki raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhi nahin
hashr ki dhum hai sab kahte hain yun hai yun hai
fitna hai ek teri Thokar ka magar kuchh bhi nahin
nisti ki hai mujhe kucha-e-hasti mein talash
sair karta hun udhar ki ki jidhar kuchh bhi nahin
shama maghrur na ho bazm-farozi pe bahut
raat-bhar ki ye tajalli hai sahar kuchh bhi nahin
ek aansu bhi asar jab na kare ai 'tishna'
faeda rone se ai dida-e-tar kuchh bhi nahin
Ghazal
Kya kaha phir to kaho dil ki KHabar kuchh bhi nahin
Mohammad Ali Tishna