kya jurm hamara hai bata kyun nahin dete
mujrim hain agar hum to saza kyun nahin dete
kya jalwa-e-mani hai dikha kyun nahin dete
diwar-e-hijabaat gira kyun nahin dete
tum ko to baDa naz-e-masihai tha yaro
bimar hai har shaKHs dawa kyun nahin dete
kis dasht mein gum ho gae ahbab hamare
hum kan lagae hain sada kyun nahin dete
kam-zarf hain jo pi ke bahut ke hain sar-e-bazm
mahfil se unhen aap uTha kyun nahin dete
kyun hath mein larza hai tumhein KHauf hai kis ka
hum harf-e-ghalat hain to miTa kyun nahin dete
kuchh log abhi ishq mein gustaKH bahut hain
aadab-e-wafa un ko sikha kyun nahin dete
naghma wahi naghma hai utar jae jo dil mein
duniya ko 'hafiz' aap bata kyun nahin dete
Ghazal
Kya jurm hamara hai bata kyun nahin dete
Hafeez Banarasi

