اردو हिंदी
Kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae | Shaahi Shayari
kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae

Ghazal

Kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae

Jaleel Manikpuri

;

kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae
bijli hawa se puchh rahi hai kidhar gae

shayad isi gharaz se chaDhe the nigah par
wo rah pa ke aankh se dil mein utar gae

wade ka nam lab pe na aae payam-bar
kahna faqat yahi ki bahut din guzar gae

achchhon ka hai bigaD bhi behtar banaw se
bikhre to aur bhi tere gesu sanwar gae

ek jalwa-gah-e-husn thi mahshar na tha 'jalil'
kya kya hasin hamari nazar se guzar gae