kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein
ye wo hai barq aag laga de naqab mein
haal is nigah ka us ke sarape mein kya kahun
mor-e-zaif phans gai ja shahd-e-nab mein
zikr-e-wafa wo sunte hi majlis se uTh gae
kuchh guftugu hi Thik na thi aise bab mein
kya puchhte ho chaara-e-hu az-KHwesh-e-raftagan
so ja se chaak jama hai sozan KHullab mein
aawaz-e-sur tere shahidon ko roz-e-hashr
lagti thi ek bhanak si to kanon ko KHwab mein
jo dekhte hi us se ye guzra kabhu nahin
yaqub ke KHayal o zuleKHa ke KHwab mein
har har roen se KHirqa ke mere hai KHun-chakan
ghote to sau diye use zamzam ke aab mein
is chashm-e-ashk-bar ke kyunkar ho samne
rone ka madda hi nahin hai sahab mein
qismat to dekh kholi girah kuchh to rah gae
naKHun hamare TuT ke band-e-naqab mein
har-waqt aarzu-e-azab-e-jahim hai
hathon se hijr ke hun main kya kya azab mein
Ghazal
Kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein
Mufti Sadruddin Aazurda