kya jaaniye manzil hai kahan jate hain kis samt
bhaTki hui is bhiD mein sab soch rahe hain
bhigi hui ek sham ki dahliz pe baiThe
hum dil ke sulagne ka sabab soch rahe hain
TuTe hue patton se daraKHton ka talluq
hum dur khaDe kunj-e-tarab soch rahe hain
bujhti hui shamon ka dhuan hai sar-e-mahfil
kya rang jame aaKHir-e-shab soch rahe hain
is lahr ke pichhe bhi rawan hain nai lahren
pahle nahin socha tha jo ab soch rahe hain
hum ubhre bhi Dube bhi syahi ke bhanwar mein
hum soe nahin shab-hama-shab soch rahe hain
Ghazal
Kya jaaniye manzil hai kahan jate hain kis samt
Shakeb Jalali