اردو हिंदी
Kya jaaniye kis baat pe maghrur rahi hun | Shaahi Shayari
kya jaaniye kis baat pe maghrur rahi hun

Ghazal

Kya jaaniye kis baat pe maghrur rahi hun

Ada Jafri

;

kya jaaniye kis baat pe maghrur rahi hun
kahne ko to jis rah chalaya hai chali hun

tum pas nahin ho to ajab haal hai dil ka
yun jaise main kuchh rakh ke kahin bhul gai hun

phulon ke kaToron se chhalak paDti hai shabnam
hansne ko tere pichhe bhi sau bar hansi hun

tere liye taqdir meri jumbish-e-abru
aur main tera ima-e-nazar dekh rahi hun

sadiyon se mere panw tale jannat-e-insan
main jannat-e-insan ka pata puchh rahi hun

dil ko to ye kahte hain ki bas qatra-e-KHun hai
kis aas pe ai sang-e-sar-e-rah chali hun

jis hath ki taqdis ne gulshan ko sanwara
us hath ki taqdir pe aazurda rahi hun

qismat ke khilaune hain ujala ki andhera
dil shoala-talab tha so bahar-haal jali hun