kya jaanen teri ummat kis haal ko pahunchegi
baDhti chali jati hai tadad imamon ki
har gosha-e-maghrib mein har KHitta-e-mashriq mein
tashrih digar-gun hai ab tere payamon ki
wo log jinhen kal tak dawa tha rifaqat ka
tazlil pe utre hain apnon hi ke namon ki
bigDe hue tewar hain nau-umr siyasat ke
biphri hui sansen hain nau-mashq nizamon ki
tabqon se nikal kar hum firqon mein na baT jaen
ban kar na bigaD jae taqdir ghulamon ki

Ghazal
Kya jaanen teri ummat kis haal ko pahunchegi
Sahir Ludhianvi