kya ishq ka len nam hawas aam nahin hai
andhon ko andhere mein koi kaam nahin hai
tha jam to is aas pe baiThe the ki mai aae
mai aai to rindon ke liye jam nahin hai
jite ho to jine ka ewaz zist se mango
maut apna muqaddar hai ye inam nahin hai
kaT jaegi ye raat guzaro kisi karwaT
ab subh se pahle to koi sham nahin hai
jite the ki sar-e-dosh pe tha bar-e-garan tha
marte hain ki sar par koi ilzam nahin hai
yan raushani-e-subh to wan nikhat-e-gul hai
yun husn-e-gurezan ka koi nam nahin hai
KHud waqt ko milta hai sukun teri gali mein
sunte hain wahan gardish-e-ayyam nahin hai
saya hun magar mehr-e-daraKHshan se hai nisbat
zulmat hun par andhon se mujhe kaam nahin hai
'baqar' se nahin izzat-e-sadat pe kuchh harf
aashiq to bana phirta hai badnam nahin hai

Ghazal
Kya ishq ka len nam hawas aam nahin hai
Sajjad Baqar Rizvi