kya hua jo sitare chamakte nahin dagh dil ke farozan karo dosto
subh-e-ishrat pareshan hui so hui sham-e-gham to na viran karo dosto
na-shanasaon ki turfa gham-KHwariyan gham ke maron ka sab se baDa rog hai
dur ulfat ki chaaragari ho na ho pahle is dukh ka darman karo dosto
tilmilati rahen hijr ki kulfaten jam-o-mina ki sar-mastiyan kya huin
ab ye mai bhi ghamon ka mudawa nahin ab koi aur saman karo dosto
meri ulfat ki sun sun ke ruswaiyan log karte hain aapas mein sargoshiyan
tum agar ittifaqan suno chup raho mujh pe ye ek ehsan karo dosto
Ghazal
Kya hua jo sitare chamakte nahin dagh dil ke farozan karo dosto
Sufi Tabassum