kya hua husn hai ham-safar ya nahin
ishq manzil hi manzil hai rasta nahin
do parinde uDe aankh nam ho gai
aaj samjha ki main tujh ko bhula nahin
tark-e-mai ko abhi din hi kitne hue
kuchh kaha mai ko zahid to achchha nahin
har nazar meri ban jati zanjir-e-pa
us ne jate hue muD ke dekha nahin
chhoD bhi de mera sath ai zindagi
mujh ko tujh se nadamat hai shikwa nahin
tu ne tauba to kar li magar ai 'KHumar'
tujh ko rahmat pe shayad bharosa nahin
Ghazal
Kya hua husn hai ham-safar ya nahin
Khumar Barabankavi