kya hoga jab mar jaenge
apne apne ghar jaenge
baat ko poshida rahne de
baat khuli to sar jaenge
qatl kiye do-chaar to socha
hum bhi tujh se Dar jaenge
chahne wale tere ek din
chaukhaT par sar dhar jaenge
us ki jaanib jaane wale
le kar jalte par jaenge
sadiyan yaad karengi hum ko
kaam aise kuchh kar jaenge
ban jaenge yaad ka hissa
jab hum tujh par mar jaenge
jaisi pai hum ne tujh se
chadar waisi dhar jaenge
Ghazal
Kya hoga jab mar jaenge
Habeeb Kaifi