kya ho taskin jo ho teri sukunat dil mein
rahe aaghosh mein ya pyar ki surat dil mein
maut chahun to karun soz-e-mohabbat ka ilaj
kya rahega na rahegi jo hararat dil mein
dil-nashin hai jo mujhe talib-e-izzat hona
chhup ke baiTha hai koi sahab-e-izzat dil mein
dil ko sab log ye kahte hain KHuda ka ghar hai
main samajhta hun ki hai teri amanat dil mein
sun raha hun wo ayaadat ke liye aate hain
aaj hai pursish-e-amal ki haibat dil mein
tauba tauba main samajhta tha ki dil hai betab
KHud wo betab hai jis ki hai sukunat dil mein
dil mein rahne ka tujhe haq to hai lekin ai shoKH
kash hoti tere chehre ki matanat dil mein
jaante hain meri be-rah-rawi ke asbab
mante hain mujhe yaran-e-tariqat dil mein
Than gai thi tere aKHlaq ki beja tarif
ab na aata to ye aai thi shararat dil mein
hai abhi tak to faqat sikwa-e-dushman ai dost
kahin paida na ho kuchh aur shikayat dil mein
chahta hun jise ban jae agar wo saqi
baDhti jae hawas-e-kausar-o-jannat dil mein
zauq-e-didar bhi kya chiz hai allah allah
meri aankhon mein basarat hai basirat dil mein
kash min-jumla-e-azar-e-mohabbat nikle
kar-farma nazar aati hai jo quwwat dil mein
hain abhi tak tumhein duniya ke maze yaad safi'
aashiqi karte ho rakh kar ye malamat dil mein

Ghazal
Kya ho taskin jo ho teri sukunat dil mein
Safi Aurangabadi