kya hamare shauq bhi wo kaj-ada le jaega
hum bhi jaenge jahan ab rasta le jaega
yun hua ki sab aqaed radd kar baiTha hun main
dekhna hai ab kahan shauq-e-KHuda le jaega
bosa le kar mere mathe ka kisi ne ye kaha
tu jahan bhi jaega mere hawale jaega
teri nadani ye tera zoam hai tu yaad rakh
ek hi aansu teri duniya baha le jaega
apna kya hai har nafas par ghair ka ab aks hai
dushman-e-jaani bhi aaya to dua le jaega
Ghazal
Kya hamare shauq bhi wo kaj-ada le jaega
Shahzad Anjum Burhani